When Allah Guide Me I CAn Never Be Lost :)


Tuesday, 10 November 2015

Mashre me berhti hui Fahashi

kisi ne kiya khoob kaha hy k...!!!

                                              kal k ma'ashre me phir bhi thi sharam
                                                aj k ma'ashre me sub kuch khatam


agr aj k zamane k tor tareqo' rasm o rawaj' fashion ka baghor mutala kiya jae to ye bt ba asani smjh ati he k aj kal her nojawan lrka salman khan jb k hr nojawan dosheeza khud ko kareena kapore se km khobsorat smjhne pr kisi tor tayyar nhi, or baro ki bt ki jae to aurten koi tulsi ka roop dhare bethi he to koi gopi ki saas ka role nibhati nzr ati he, mamla jb baro ka ho to bache to bache hen wo kiun kisi se piche rahen unka to style hi or hota he language unki oogy jesi to hulya unka ben 10 jesa or harkaten kisi trha chota bheem  se juda nh khud ko unke jesa anergentic smjh k jo kam sar anjam dete hen uska khmyaza unke sath ghr walo ko bhi bhujtna prta he.. 


ghor talab bt ye he k ye kahan ka trend kahan ki riwayat wa tor tareqe hm me aa base hen jis se na koi bacha khalid bin waleed jesa bahadur' na hzrat Umer jesa o Bu bAker wa ALi jesa insaf pasand bnna chahte he, to dosri trf lakiyon me na hi hazrat maryam jesi pakezgi rahi na hazrat FAtima jesi haya to wahi mrdo or aurto ka haal bhi inse juda nhi.. inka idiol koi sahaba ya wali llah nhi blke inka idiol ek filmi acter or actress h. hm islami ma'ashre me rehte hue kis qdar islam se dor hogae hen iska andaza masjid me dene wale paiso se lga len jahan ALlah k gher me naiki k kam pr khrch krne k lye 10 rupe se ziyada nh niklte wahin cable ki fees ki mud me hum 500 se 100 rupe tk ba khushi dene ko tyyar hen.. 



cable or dish ne hamare ma'ashre ko jis trha tabah wa barbad kia wo kisi se dhaki chupi bt nh isse jahan ma'ashra be rah rawi ka shikar hua wahin ma'ashre me jaraim ' fahashi' uryaniyat'afra tfri ki kefiyat pai jati he loliwood' bolywood ki filmo se jo kser reh gai thi use hamare morning shows' daramo ne poori krdi, subah ka aghaz Qurani ayat' Allah pak ki hamd o sana ' naat khuwani se hone k bjae behooda mazak'gaane '


shadi biyah ki rasmo se hota he fashion ka craze' gharelu sazishen' fazool khrchiyan' shadi biyah k naam pr fazool rasme dikha kr awam k dil o dimagh pr asr anadaz horaha he ..

majooda dor me jitne jaraim ki nit naye tareeqe  ijad hue ye sb inhi filmo ka natija he jisse nojawan nasal shoqiya or kuch halaat se majboor ho kr is raste ko apnate hen or ma'ashre ko deemak ki trha khokla kr rahe hen..
jahan jraim ki sharah me izafa hua wahin fahashi se bhrpore manazir ma'ashre me bighar ka sabab bn rahe hen jis se lakiyon or bachiyon ko izzat k lale pr gae hen, in fahash manazir ko dekh kr nafsani khuaishat se be qaboo ho kr nojan or aged dono insaniat ko rondte hue shataniyat k drje pr pohchne me second bhi nh lagate or esi hrkaten anjam dete hen jisse rooh kanp k reh jati he... bap beti , bhai behan ,maa bete ka taquddos pamal horaha he aj lrkiyan bahir to kiya apne gharo me bhi mehfooz nhi... 
zarorat is amar ki he k hamara pemra jo paise kha kr kabootar ki trha ankhen bnd kiye beta he ise ma'ashre me apna positive role play krna hoga or ese content jisse ma'ashre me uryaniyat urooj pr pohch rahi h iske khilaf hatmi iqdamaat krne hnge ta k hamari ane wali nasle mahfooz rahen in balao se ....


Written by 
Shaista Akbar.... 

Friday, 23 October 2015







yom.e.ashoora ka tareekhi pas.e.manzer..



  • ashoora k din sayyaduna hazrat Adam alaihissalam ki toba qabool hui, isi din Adam alaihis salam ki paidaish hui
  • 10 moharram hi k din arsh,kursi,asman,or zameen,sooraj,chand,sitare or jannat paida ki gai
  • ashoora hi ko sayyaduna khalil ibrahim alaihis salam mutawallad hue , isi roz roz inhe naare namrood se nijat naseeb hui
  • 10 moharram ko bani israile ko firoon  k shar se nijat mili or firoon apne lashker k sath darya burd hua
  • hazrat esa alaihis salam ashoora k din paida hue or inhe asman pr uthaya gaya
  • kashti nooh b ashoora k roz joodi pahari pr tehri
  • sayyaduna yunus alahis salam ko 10 moharram k din machli k pait se nijat mili
  • suleman alaihis salam ko azeem saltanat isi roq ata hui
  • sayyaduna yaqoob alaihis salam ki binai ashoora ko bahal ki gai
  • sayyaduna ayyub alaihis salam ki bimari bhi yom.e.ashoora ko door hui
  • jis din asman se dunya per pehli barish bersi , wo din ashoora ka tha 
  • sayyadushuhada  sayyaduna imam aali maqam imam husain ki 10 moharram k din yazeed k lashkaro ne nahaq qatal kiya ... 

                                                                                    (makashfat.ul.quloob, jang paper 24th of oct )

Hukomati drones..




18 carore pakistan ki abadi me ghareeb, mutuwassat,eliet class, safaid posh,or khat.e.ghurbat se bhi neche ki zindagi baser kerte awam shamil hen..

 in 18 carore ki abadi me se 70% ghareeb,20%mutawassat, jab k 10%eliet class pr mushtamil awam he, jin me se in eliet class pr mushtamil afrad hi hm per hukmarani kerte ayen hen or mukhtalif taxes or bills ki soorat ghareeb awam ka khoon choste ayen hen. bat yahan se khrab hoti he hukumati badjut is per mustizad her chez pr taxes ghurba ko khat.e.ghurbat se neche ki lakeer pr zindagi guzarne per majbor krti hen..


guzishta dino pehle meri nazron se ek khbar guzri jisme pakistan k mukhtalif shehro me bijli k bill me izafe k khilaf sarfeen ehtijaj kerte nzr ayen, inka moaqaf ye tha k jahan bijli ki loadsheding m izafa hua he wahin iske bilo me bhi khatir khuah izafa kiya gaya he or bill ki adam adaigi pr bijli munqata kerne ki dhamkiyan bhi di gai hen.. ek taraf awam ka ehtijaj to dosri taraf mian Nawaz shareef ka bayan he k " loadsheding khatm kerne ka wadah poora hota nazer araha h or mulk me khush haali ani chahiye"

 or to or mian shehbaz shareef bhi kahan piche rehne wale unka frman he k "tawanai bohran k khatme k lye kaweshen rang la rahi hen" (20.oct.15jang news paper), na jane in hukmaran ka zehni tawazan theek nh raha ya awam behak gai he jo bina loadshedin or budgut k sarko pr nikal ai he.

in ghareebo ki bt ki jae jise bijli ka bohran,gass ka bohran,pani ki adum dastiyabi, budgut me izafa ka azab or zindagi k bunyadi zarorton tk rasai intihai mushkil tareen amal hota jaraha he, iwan.e.bala me jo bhi budgut pass kiya jata he iska baar ghareebo pr dal diya jata he.. 

12 se 18 ghante ki loadsheding ki aziat bhi ghareeb awam brdasht kare or hazaron rupe me bills bhi awam bharen, gass k lye lambi lambi qataren, ganda graseemo se bhara pani istimal karen pr hukuma ki trf se moqarrar kiye gae bills or taxes zaror bharen or inke khilaf koi khara na ho.petro ki qeemat me izafa, sabziyon pr musalsal izafa, aata ,ghi,chawal jesi bunyadi zarorton pr bhi rates asman ko cho rahen hen, ab ye awam pr munhasir he k chahen to bheek mang kr zindagi guzare ya dosre majobor logo ki trha khudkushi kr k is azab se chutkara hasil kare.. kiun k hamare hukmaran pr na to bijli,gas ki loadshedin ka azab he na hi aj kha k kal k lye fikrmand hone ki zarort or na hi ye tension k 10 hazar ki selary me bijli.pani gas.khana .bacho ki schol ki fees kis trha poori krni he.... 

jb ghareeb admi ki amdani km kharch ziyada hnge to wo sarapa ehtijaj bane ga, wo apne haq k lye sarko pr bhi nkle ga or dharna bhi dy ga, police ki lathiyan b khae ga or in zalim hukmrano k "1 saal me bijli ka bohran khatm kerne k jhoote kabhi na poore hone wale wade" bhi sune ga ... is ghurbat or muslsal brhti hui mahangai se tang akr kahin khudkushi jese qabeeh hrkat k murtakib hote hen to kahin shareef insan se mujrin ban'ne tk ki dastane raqm hoti hen mgr afsos hamare hukman khuab.e.khargose k maze lotte hen .... 

kaash..!!! koi to khuloos.e.dil k sath ghareebo ka pursan.e.hal ho koi to in taxes ko bjae ghareebo k ameero pr lagu krne wala ho..!!!


writen nd posted by Shaista akbar..

Wednesday, 21 October 2015

jeena mohal he....!!! :-/

sehat ek anmol khazana he , or iske liye na sirf sehat baksh ghiza blke sehat mand mahole or aloodgi se pak hawaen bht zarori he ,mgr badqismati se hamare shehar KARACHI ka mahole kisi trha bhi is osool pr poora nh utrta , jahan pr sansen leta insan sehat mand zindagi guzar sake. iski waja jaga jaga phele badboodar,ta'afun zadah koora kerkat he. jiski waja se na sirf tarah tarah ki bimariyan janum leti hen blke, ye insani sehat k liye intihai muzir he.


yun to sehat o safai ko Iman ka bunyadi juz qarar diya gaya he or iski misal QURAN O HADEES SHAREEF me bhi baderja utam majood hen jesa k ek haqees me Hazrat Muhammad s.a.w ne safai ko nifs iman qarar diya wahin isse rooh ko pakeezgi bhi naseeb hoti he. mge afsoos hm is k brkhilaf apne gharo ki safai ka to khaas khyal rkhte hen mger apne mohalle, galliyon, or to or qabristan tak k taqaddus ko pamal kerne se gureez nh kerte.

ye masla us wqt or bhi sangeen soorat.e.haal ikhtiyar ker jata he jb QURBANI ka eham fareeza anjam diya jata he, janwaro ki alaishen ja ba ja pari nzr ati hen, jahan awam behisi ka saboot dete hen wahin nazmeen ki tota chasmi ki misal milna mushkil he. karachi jise kbhi mazi me roshniyon ka shehar kaha jata tha or jiski khoobsorti k gun gaye jate the aj wohi iske makeeno k hatho kachre k dhair me tabdeel ho chuka he, sadar, impres market, Orangi town, baldiya town, metrowil,nazimabad petrol pump,paposh nager k ilaqe qabil.e.zikr hen.jahan maderse, kids playground,schools,masajid k atraf or
kahin qabristan ki tooti dewaro k atraf kachre k dhair ehle mohalla or U.C nazmeen ki behisi or frz se adam dilchuspi ki zindah misaalen hen..
zer.e.nazr tsaweren kisi gaoun ya dehat ki nhi blke ye karachi k ilaaqo,mehallo ki hen jahaan se utht'te ta'afun rah guzr k sabar ka imtihan leti hen... ager hame apne mahool ko sehat mand bnana he to sb se pehle hame khud ko dekhna hoga , khud se shoroat krni hogi, phir to na Masajid ki deewaro pr choking kerne ki zarorat rahe gi na hi schoolon k deewaron pr kachre na phenkne ki guzarish darg kerne ki hajat rahe gi, na hi jaga jaga " shehr.e.Qaid ko saaf suthra rakhen" hidayat k posters lgaen jaen gy . agr hum sah
i rahen gy to hamara mashra bhi sahi rahe ga kiun k muashra hum se he..!!
Ayen hum apne mahool ko sehat mand bnaen or kachro ko atraf me phenkne k bjae ek maksoos jaga pr pheken jahan se kachre uthane wali gariyan or machine ba'asani baqaidgi k sath un makhsos jagho se kachre utha kr mahool ko saaf rakhne me ta'awun karen.. kiun k ...!!

<Sehat mand mahole hi insan ki sehat mand zindagi ka zamin he >


writen & posted by shaista akbar 

Thursday, 1 October 2015