jeena mohal he....!!! :-/
sehat ek anmol khazana he , or iske liye na sirf sehat baksh ghiza blke sehat mand mahole or aloodgi se pak hawaen bht zarori he ,mgr badqismati se hamare shehar KARACHI ka mahole kisi trha bhi is osool pr poora nh utrta , jahan pr sansen leta insan sehat mand zindagi guzar sake. iski waja jaga jaga phele badboodar,ta'afun zadah koora kerkat he. jiski waja se na sirf tarah tarah ki bimariyan janum leti hen blke, ye insani sehat k liye intihai muzir he.
yun to sehat o safai ko Iman ka bunyadi juz qarar diya gaya he or iski misal QURAN O HADEES SHAREEF me bhi baderja utam majood hen jesa k ek haqees me Hazrat Muhammad s.a.w ne safai ko nifs iman qarar diya wahin isse rooh ko pakeezgi bhi naseeb hoti he. mge afsoos hm is k brkhilaf apne gharo ki safai ka to khaas khyal rkhte hen mger apne mohalle, galliyon, or to or qabristan tak k taqaddus ko pamal kerne se gureez nh kerte.
ye masla us wqt or bhi sangeen soorat.e.haal ikhtiyar ker jata he jb QURBANI ka eham fareeza anjam diya jata he, janwaro ki alaishen ja ba ja pari nzr ati hen, jahan awam behisi ka saboot dete hen wahin nazmeen ki tota chasmi ki misal milna mushkil he. karachi jise kbhi mazi me roshniyon ka shehar kaha jata tha or jiski khoobsorti k gun gaye jate the aj wohi iske makeeno k hatho kachre k dhair me tabdeel ho chuka he, sadar, impres market, Orangi town, baldiya town, metrowil,nazimabad petrol pump,paposh nager k ilaqe qabil.e.zikr hen.jahan maderse, kids playground,schools,masajid k atraf or
kahin qabristan ki tooti dewaro k atraf kachre k dhair ehle mohalla or U.C nazmeen ki behisi or frz se adam dilchuspi ki zindah misaalen hen..
zer.e.nazr tsaweren kisi gaoun ya dehat ki nhi blke ye karachi k ilaaqo,mehallo ki hen jahaan se utht'te ta'afun rah guzr k sabar ka imtihan leti hen... ager hame apne mahool ko sehat mand bnana he to sb se pehle hame khud ko dekhna hoga , khud se shoroat krni hogi, phir to na Masajid ki deewaro pr choking kerne ki zarorat rahe gi na hi schoolon k deewaron pr kachre na phenkne ki guzarish darg kerne ki hajat rahe gi, na hi jaga jaga " shehr.e.Qaid ko saaf suthra rakhen" hidayat k posters lgaen jaen gy . agr hum sah
i rahen gy to hamara mashra bhi sahi rahe ga kiun k muashra hum se he..!!
Ayen hum apne mahool ko sehat mand bnaen or kachro ko atraf me phenkne k bjae ek maksoos jaga pr pheken jahan se kachre uthane wali gariyan or machine ba'asani baqaidgi k sath un makhsos jagho se kachre utha kr mahool ko saaf rakhne me ta'awun karen.. kiun k ...!!
<Sehat mand mahole hi insan ki sehat mand zindagi ka zamin he >
writen & posted by shaista akbar



No comments:
Post a Comment